Pighle neelam sa behta hua ye sama Neeli-Neeli si khamoshiyaan Na kahin hai zameen, na kahin Aasmaan Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan Keh raheen hai ki bas ek tum ho yahaan Sirf main hoon Meri saansein hain aur meri dhadkanein Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan Aur main sirf main Apne hone par mujhko yaqeen aa gaya HaiIk baat honthon tak hai jo aayi nahin Bas ankhon se hai jhaankti Tumse kabhi, mujhse kabhi Kuch lafz hain woh maangti Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ehsaas hi ehsaas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairti Khushboo jo be awaaz hai Jiska pata tumko bhi hai Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chhupta nahin Yeh jaane kaisa Raaz hai Jab jab dard ka baadal chhaya Jab gham ka saya lehraaya Jab aansoo palkon tak aaya Jab yeh tanha dil ghabraaya Hum ne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai? Duniya mein yun hi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda g...